Tuesday, February 10, 2009

Ye bata de mujhe zindagi

Seems like this blog is mainly a repository of some of my favorite lyrics.
Here is another one...i love this one too.

-----------------------------------------------------------

ye bata de mujhe zindagi
pyar ki raah ke humasafar, kis tarah ban gaye ajanabi
ye bata de mujhe jindagi
phool kyon saare murjha gaye, kis liye bujh gayi roshani

kal jo bahon mein thi , aur nigahon mein thi
ab woh garmi kahan kho gayi
na woh andaaz hai naa woh aawaz hai
ab wo narmee kahan kho gayi

bewafa tum nahi , bewafa hum nahi
fir woh jazbaat kyon so gaye..
pyar tum ko bhi hai, pyar hum ko bhi hai
faasle fir yeh kyon ho gaye

Yeh bata de mujhe zindagi....

Waqt nahin...

Read it somwhere on internbet..had to share it!!

----------------------------------------------------------------------

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison Ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi