Friday, December 12, 2014

Ek pyaar ka nagma hai...


Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai 
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai... 
Kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai
Jeevan ka matalab to, aanaa aur jaanaa hai
Do pal ke jeevan se, ek umr churaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai 
Ek pyaar ka naghamaa hai

Tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon
Tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon
Aankhon men samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai 
Ek pyaar kaa naghamaa hai

Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai
Parachhaainyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai 
Ek pyaar kaa naghamaa hai



http://youtu.be/w7UEjGSCD8U

No comments:

Post a Comment

Thanks for stopping by!! I am honored you are here :)